Wednesday, March 2, 2011

wo................

baatein bhool jaate hai, yaadein yaad aate hai……………..

hum nikle the gagan ki talaash mei mann mei sapne sajoye, mil gaya yaadon ka kaafila behte hue paani ke jaise(………) gagan to wahi ka wahi raha, hum kuch kho se gaye kaafile mei.

wo hamara saath suruat karna, wo hamara saath ghoomna,

wo hamara saath college jana,

wo hamara ek dosre ko pareshaan karna khichae karna,

wo gol raasto par saath chalna jahan se suru hona wahi khatam karna, sab yaad aata hai;

wo hamara saath lunch/dinner karna, aur us lunch/dinner mei itna jyada khana ki saath ki jeb(pocket) se jyada hamare pet pe pressure badhna,

wo us lunch/dinner ke baad saath mei soda ya juice peena aur fir jaake room par so jana aur der se uthna aur fir bhaagna, sab yaad aata hai;

wo un raasto par saath chalna aur doosro ko dekh ke kuch bhi fusfusana aur usse baat par bin baat ke hasna,

wo saath mil kar kisi ki taang kheechna aur saath mei apni bhi khichwana, sab yaad aata hai;

wo saath na rehne ka darr, wo aankho se aasuon ka behna, wo barsaat ka bin mausam barasna aur aasuon ko apne mei chupa lena, sab yaad aata hai

……………………baatein bhool jaate hai, yaadein yaad aate hai :-| :’)

1 comment:

Unknown said...

i like the "wo hamara ek dosre ko pareshaan karna khichae karna" part particularly... ;)
and i m sure...i m not going to miss it anyways... ;)